
Jab bahar ayi to sehra ki taraf chal nikla – shaukat ali
ghazal by : Ayub Rumani
singer : Shaukat Ali
jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla lyrics
jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla
sehn-e-gul chod gaya dil mera pagal nikla
jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila
dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla
ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla
woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the
itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla
hum sakoon dhoondne nikle the pareshaan rahe
shahar to shahar hai jungle bhi na jungle nikla
kaun “Ayub” pareshaan nahi tareeki mein
chand aflaak pe dil seene mein bekal nikla
Word meaning :
sehra=desert, sehn=yard, gul=rose, sehn-e-gul =courtyard of rose(s), nishaan=sign , oojhal=invisible, mulaqaat=meeting, afsana-e-gam=story of heartbreak(sorrow), tariki=darkness, aflaak=sky, bekal=uneasy
Also Read: Learn from the life of famous and inspirational people